Kabhi kabhi aisa manzar dekha hai .....
Kabhi kabhi aisa manzar dekha hai
Apno ke haath me khanjar dekha hai
Lahlahati thi khushiyon kee fasl jahan
Us jameen ko banjar dekha hai
Lut Gaye ehsaas aur jajbaat rishto se
Har dil hamlawar sikandar dekha hai
Ye insaan ki hi karastaani hai wo jo
Asmaa me utha huya bavander dekha hai
waqt kabhi kabhi kar deta hai manhoor
Dariya me simatta samandar dekha hai